Hindustan Hindustan Lyrics - Border

Hindustan Hindustan Lyrics from Border - This song is sung by Kulbhushan Kharbanda, Shankar Mahadevan, Sonali Rathod, Kulbhushan Kharbanda & song is composed by Anu Malik, Ram Sampat

Song Title: Hindustan Hindustan
Movie: Border
Singer(s): Kulbhushan Kharbanda, Shankar Mahadevan, Sonali Rathod, Kulbhushan Kharbanda
Lyricist(s):
Music By: Anu Malik, Ram Sampat
Genre:
Music Label : Venus Records & Tapes
Star Cast : Sunny Deol, Jackie Shroff, Sunil Shetty, Akshaye Khanna, Sudhesh Berry
Release Date : 1997-06-13


Hindustan Hindustan Song Lyrics

Sarve Bhavantu Sukhina Sarve Santu Niramaya Sarve Bhadrani Pashhaantu Maakaschit Dukh Bhaa Bhavet Hindustan 4 Meri Aan Meri Shaan Meri Jaan Hindustan Hindustan 4 Meri Aan Meri Shaan Meri Jaan Hindustan Paanch Hazar Warsha Pehle Isi Ved Mantra Ka Uchhar Karke Param Peeta Parmatma Ki Yaachana Karte Sabka Bhala Karo Bhagwan Sabko Sukh Aur Shanti Do Aur Paanchso Warsha Pehle Isi Paath Ko Saral Bhasha Mein Dohraya Nanak Naam Jalti Kala Tere Paani Sarvata Bhala Hindustan 4 Meri Aan Meri Shaan Meri Jaan Hindustan Parantu Sabke Liye Sukh Aur Shanti Maannewale Hindustani Kya Khud Shanti Se Sakte, Rehte Bhi Toh Kaise Rehte Unki Dharti Ka Dusra Naam Sone Ki Chidiya Hai Jiski Mitti Mein Sona Aur Jungalo Mein Chandan Hai Shayad Isiliye Prakriti Ne Iski Suraksha Ke Liye Uttar Mein Himalaya Dakshin Mein Hind Mahasagar Purab Mein Bangal Ki Khadi Aur Paschim Mein Thar Ka Registan Bana Diya Tha Hindustan 4 Meri Aan Meri Shaan Meri Jaan Hindustan Phir Bhi Sone Ki Chamak Aur Chandan Ki Khushbu Bahar Ke Hamlaawaro Ko Lubhati Rahi Sikandar Ke Ghodo Ki Taapo Ne Hamare Dharti Ke Seene Ki Dhadkan Tez Kar Di Tohun, Mangol, Arab, Purtagali, Francisi Aur Angrej Koi Pichhe Na Raha Sab Aaye Aur Aate Hi Rahe, Shayad Nahi Jaante The Ke Jahaan Sab Duniyawale Apni Apni Matroobhoomi Se Pyar Karte Hain Waha Hindustani Apni Matroobhoomi Ki Pooja Karte Hain Jee Haa Pooja Hindustan 4 Meri Aan Meri Shaan Meri Jaan Hindustan Karodon Hindustaniyon Ki Bhaavna Ko Shabdo Mein Dhaalte Hue Hi Toh Bankim Babu Ne Kaha Tha Sujalam Sufalam Malayaj Shitalam Shashya Shamlam Mataram Vande Vande Mataram Hamlaawaro Ko Haar Maankar Wapas Jaana Pada Par Kutch Log Yahi Reh Gaye Unhe Hamari Dharti Maa Ne God Le Liye Aur Itihaas Sakhsi Hai Maa Ne Apni God Se Janme Aur God Liye Bachho Mein Kabhi Antar Nahi Kiya Shayad Isiliye Jab Jab Kisi Hamlawar Ne Hamari Dharti Ke Seene Par Paanv Rakhna Chaha Sab Bachhe Seena Taankar Saamne Khade Ho Gaye Aur Seema Suraksha Ki Deewar Khadi Ho Gayi Hindustan 4 Meri Aan Meri Shaan Meri Jaan Hindustan Hamlwar Iss Deewar Se Takrakar Wapas Jaate Rahe Jo Unniso Basat Mein Hua Wahi San Paisat Aur Wahi Ikahattar Mein Har Baar Hindustaniyon Ne Wapas Jaate Dushman Ki Or Dosti Ka Haath Badhaya Kyunki Hamari Mitti Ne Hamein Sikhaya Hain Yadi Nafarat Karne Wale Nafarat Ka Daaman Nahi Chhodte Toh Mohabbat Karne Wale Mohabbat Ka Daaman Kyun Chhode Hindustan 4 Meri Aan Meri Shaan Meri Jaan Hindustan


More lyrics from Movie

Lyrics Singer
Humein Jabse Mohabbat Ho Gayi Hai Alka Yagnik, Sonu Nigam
To Chalun Roop Kumar Rathod
Ai Jate Huye Lamho Jara Thehro Rup Kumar Rathod
Hamein Jab Se Mohabbat Alka Yagnik, Sonu Nigam
Ke Ghar Kab Aaoge Roopkumar Rathod, Sonu Nigam
Sandese Aate Hain Chorus, Roop Kumar Rathod, Sonu Nigam
Hame Jabse Mohabbat Ho Gayee Hai Sonu Nigam, Alka Yagnik
Lamha Lamha Jalte Rahe Han Iss Pyar Me Shaan
Is Pyaar Mein Shaan
Sandese Aate Hain, Hame Tadpate Hain Sonu Nigam, Roopkumar Rathod
Mere Dushman Mere Bhai Mere Humsaye Hariharan
Mere Dushman Mere Bhai Chorus, Hariharan
Haan Is Pyaar Mein Shaan