Shuru Hota Hai Phir Baato Ka Mausam Lyrics - Sholay

Shuru Hota Hai Phir Baato Ka Mausam Lyrics from Sholay - This song is sung by Anand Bakshi, Bhupinder Singh, Kishore Kumar, Manna Dey, Others & song is composed by R D Burman, Basu Manohari, Maruti Rao

Song Title: Shuru Hota Hai Phir Baato Ka Mausam
Movie: Sholay
Singer(s): Anand Bakshi, Bhupinder Singh, Kishore Kumar, Manna Dey, Others
Lyricist(s):
Music By: R D Burman, Basu Manohari, Maruti Rao
Genre:
Music Label : Universal
Star Cast : Amitabh Bachchan, Dharmendra, Hema Malini, Sanjeev Kumar, Amjad Khan
Release Date : 1975-08-15


Shuru Hota Hai Phir Baato Ka Mausam Song Lyrics

Shuru Hota Hai Phir Baato Ka Mausam Suhaani Chaandni Raato Ka Mausam Bujhaaye Kis Tarha Dil Ki Lagi Ko Lagaaye Aag Ham Is Chaandni Ko Ke Chaand Sa Koyi Chehra Na Pehlu Mein Ho Arz Kiya Hai ... Haay, Ke Chaand Sa Koyi Chehra Na Pehlu Mein Ho To Chaandni Ka Maza Nahi Aata Arre, Jaam Pee Kar Sharaabi Na Gir Jaaye To 2 Maikashi Ka Maza Nahi Aata Ke Chaand Sa Koyi Chehra ... Zindagi Hai Mukammal Adhuri Nahi Chaand Sa Koyi Chehra Zaroorii Nahi Husn Saiyyaad Hai, Ishq Fariyaad Hai Ye Jo Do Naam Hain, Dono Badnaam Hain Tum To Naadaan Ho, Gham Ke Mehmaan Ho Dil Zara Thaam Lo, Aql Se Kaam Lo Agar Aaj Roshni Hoti Hai Saahab Sab Chiraagho Se Zara Sa Farq Hota Hai Dilo Mein Aur Dimaago Mein Eh Mere Dosto, Aql Se Kaam Lo Baat Dil Ki Karo Kyu Ke... Sher Dil Ko Na Tadpaake Rakh De Agar To Shaayari Ka Maza Nahi Aata Ke Chaand Sa Koyi Chehra ... Sharbati Aankh Ke Dushmano Se Bacho Reshmi Zulf Ki Uljhano Se Bacho Woh Gali Chhod Do, Ye Bharam Tod Do Yu Na Aahein Bharo, In Se Tauba Karo Ye Jo Dildaar Hain, Sab Sitamgar Hain Dil Jo Dete Hain Ye, To Jaan Lete Hain Ye Wafa Ke Naam Ko Aashiq Kabhi Ruswa Nahi Karte Kata Dete Hain Woh Sar Ko Kabhi Shikwa Nahi Karte Dil Machal Jaane Do, Teer Chal Jaane Do, Dam Nikal Jaane Do Aur, Maut Se Aadmi Ko Agar Darr Lage To Zindagi Ka Maza Aata Nahi Ke Chaand Sa Koyi Chehra ... Ishq Mein Yaad Kuchh Aur Hota Nahi Aashiqui Khoob Ki, Dil Se Mehboob Ki Yaad Jaati Nahi, Neend Aati Nahi Dard Khilta Nahi, Chain Milta Nahi Ya Khuda Kya Kare, Ham Dawa Kya Kare Dawa Dard E Jigar Ki Poochhte Ho Tum Diwaane Se Ye Dil Ki Aag Bujhegi Faqat Aansoo Bahaane Se Ye Sitam Kis Liye, Gham Ho Kam Kis Liye, Roye Ham Kis Liye Kyu Ke... Aag Par Koyi Paani Agar Daal De To Dillagi Ka Maza Aata Nahi Ke Chaand Sa Koyi Chehra ...


More lyrics from Movie

Lyrics Singer
sholay dialogues Dharmendra, Amitabh, Amjad Khan
Holi Ke Din Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
Koi Haseena Jab Rooth Kishore Kumar
Mehbuba Mehbuba R.d. Burman
Haan Jab Tak Hai Jaan Lata Mangeshkar
Koi Haseena Kishore Kumar
Yeh Dostee Ham Nahee Todenge Kishore Kumar, Manna Dey
Mehbooba Mehbooba R D Burman, R. D. Burman
Yeh Dosti Kishore Kumar, Manna Dey