Na To Caarvaan Ki Talaash Hai Lyrics - Barsaat Ki Raat

Na To Caarvaan Ki Talaash Hai Lyrics from Barsaat Ki Raat - This song is sung by Asha Bhosle, Manna Dey, Mohd Rafi, Sudha Malhotra & song is composed by Roshan Lal

Song Title: Na To Caarvaan Ki Talaash Hai
Movie: Barsaat Ki Raat
Singer(s): Asha Bhosle, Manna Dey, Mohd Rafi, Sudha Malhotra
Lyricist(s):
Music By: Roshan Lal
Genre:
Music Label :
Star Cast :
Release Date : 1900-01-01


Na To Caarvaan Ki Talaash Hai Song Lyrics

Na To Caarvaan Ki Talaash Hai, Na To Humsafar Ki Talaash Hai Mere Shauq E Khaana Kharaab Ko, Teri Rehguzar Ki Talaash Hai Mere Naamuraad Junoon Ka Hai Ilaaj Koi To Maut Hai Jo Dava Ke Naam Pe Zehar De Usi Chaaraagar Ki Talaash Hai Tera Ishq Hai Meri Aarzoo, Tera Ishq Hai Meri Aabroo Dil Ishq Jism Ishq Hai Aur Jaan Ishq Hai Imaan Ki Jo Poochho To Imaan Ishq Hai Tera Ishq Hai Meri Aarzoo, Tera Ishq Hai Meri Aabroo, Tera Ishq Maein Kaise Chhod Doon, Meri Umra Bhar Ki Talaash Hai Jaansoz Ki Haalat Ko Jaansoz Hi Samjhega Maein Shamaa Se Kehta Hoon Mehfil Se Nahin Kehta Kyonki Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq Sahar Tak Sabka Hai Anjaam Jal Kar Khaak Ho Jaana, Bhari Mehfil Mein Koi Shammaa Ya Parvaana Ho Jaye Kyonki Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq Vehshat E Dil Rasm O Deedaar Se Roki Na Gayi Kisi Khanjar, Kisi Talvaar Se Roki Na Gayi Ishq Majnu Ki Vo Aavaz Hai Jiske Aage Koi Laila Kisi Deewaar Se Roki Na Gayi, Kyonki Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq Vo Hanske Agar Maangen To Hum Jaan Bhi Deden, Haan Ye Jaan To Kya Cheez Hai Imaan Bhi Deden Kyonki Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq Naaz O Andaaz Se Kehte Hain Ki Jeena Hoga, Zehar Bhi Dete Hain To Kehte Hain Ki Peena Hoga Jab Maein Peeta Hoon To Kehten Hai Ki Marta Bhi Nahin, Jab Maein Marta Hoon To Kehte Hain Ki Jeena Hoga Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq Mazhab E Ishq Ki Har Rasm Kadi Hoti Hai, Har Kadam Par Koi Deewaar Khadi Hoti Hai Ishq Aazad Hai, Hindu Na Musalmaan Hai Ishq, Aap Hi Dharm Hai Aur Aap Hi Imaan Hai Ishq Jis Se Aagaah Nahi Shekh O Barahaaman Dono, Us Haqeeqat Ka Garajtaa Hua Ailaan Hai Ishq Ishq Na Puchhe Deen Dharm Nu, Ishq Na Puchhe Jaataan Ishq De Haathon Garam Lahu Vich, Doobiyaan Lakh Baraataan Ke Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq Raah Ulfat Ki Kathin Hai Ise Aasaan Na Samajh Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq Bahut Kathin Hai Dagar Panghat Ki Ab Kya Bhar Laun Maein Jamuna Se Matki Maein Jo Chali Jal Jamuna Bharan Ko Dekho Sakhi Ji Maein Jo Chali Jal Jamuna Bharan Ko Nandkishor Mohe Roke Jhaadon To Kya Bhar Laun Maein Jamuna Se Matki Ab Laaj Raakho More Ghoonghat Pat Ki Jab Jab Krishn Ki Bansi Baaji, Nikali Raadha Saj Ke Jaan Ajaan Ka Maan Bhula Ke, Lok Laaj Ko Taj Ke Janak Dulaari Ban Ban Doli, Pahan Ke Prem Ki Maala Darshan Jal Ki Pyaasi Meera Pi Gai Vishh Ka Pyaala Aur Phir Araj Kari Ke Laaj Raakho Raakho Raakho, Laaj Raakho Dekho Dekho, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq, Ye Ishq Ishq Hai Ishq Ishq Allah Rasool Ka Farmaan Ishq Hai Yaane Hafeez Ishq Hai, Quraan Ishq Hai Gautam Kaa Aur Maseeh Ka Armaan Ishq Hai Ye Kaaynaat Jism Hai Aur Jaan Ishq Hai Ishq Sarmad, Ishq Hi Mansoor Hai Ishq Moosa, Ishq Koh E Noor Hai Khaaq Ko But, Aur But Ko Devta Karta Hai Ishq Intaha Ye Hai Ke Bande Ko Khuda Karta Hai Ishq Haan Ishq Ishq Tera Ishq Ishq Tera Ishq Ishq, Ishq Ishq


More lyrics from Movie

Lyrics Singer
Jindagi Bhar Nahi Bhulegi Woh Barsat Ki Rat Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
Naa Toh Karvan Ki Talash Hai Asha Bhosle, Shiv Dayal Batish, Manna Dey, Mohammad Rafi, Sudha Malhotra
Jindagee Bhar Naheen Bhoolegee Lata Mangeshkar, Mohd Rafi
Maine Shayad Tumhe Pehle Mohammad Rafi
Maine Shayad Tumhe Pahale Kahi Dekha Hai Mohd Rafi
Mujhe Mil Gaya Bahana Teree Did Kaa Lata Mangeshkar
Mujghe Mil Gaya Bahana Lata Mangeshkar